"main"
kabhi yah sonchta hun
ki kaun hun "main"
khud se puchhata hun
ki kya hun "main"
ye jism
ya ruh hun "main"
sabse puchhta hun
ki kaun hun "main"
kisi ka beta
kisi ka bhatija
kisi ka bhanja
kisi ka dewar
kisi ka nawasa
In riston main uljha
khud se puchhta hun
kiska kitna hun
"main"
Friday, October 3, 2008
Subscribe to:
Comments (Atom)